Dil ko band kar doon to kya hota hei
ye mein takna chahta hoon
na hatam hone wale kisi raste par
thoda thakna chahta hoon
umeedein laga kar kisi se
kuch milta nahi yahan par
na-umeedi mein kya maza hei
ye chakhna chahta hoon
dil mein jo aag jal rahi hei
uski roshni ko bhuja kar
kuch der iss andhere mein
mein khudh jalna chahta hoon
koi wajah hoti to koi baat thi
lekin mein jaane kyun
yunhi be-wajah kisi ki yaad mein
yun tadapna chahta hoon
lambi umar ho uski yehi dua hei meri
kabhi ho jaye band jo dil uska
ban ke dil uska, ussi ke seene mein
mein dhadakna chahta hoon
jiski muskaan pe dunya sari waar doon
jab bhi wo kare yaad mujhe
ban ke eik aanso, ussi ki aankh se
mein tapakna chahta hoon
jisse dekh kar wo mujhe yaad kare
jab hoga na sunny , tu iss dunya mein
wo ek sitara ban ke aasman par
mein chamakna chahta hoon
Thursday, May 24, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Max poem is very very good... Hun hor ki likhan... Je kuch likhta then u'll say ke eh ki lkhta... Hahahaha.... Samjh gaya na.... ;-)
ah very gud poem....keep it up buddy....
Post a Comment